Qayem Chandpuri

jate hi ho gar KHwah-naKHwah

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
jaate hī ho gar ḳhvāh-naḳhvāh
fabihā behtar bismillāh
yak shab dekhī jin ne vo zulf
lākhoñ dekhe roz-e-siyāh
itnī to mat ho jald nasīm
ham bhī chaman tak haiñ ham-rāh
dushman rahveñ baada baġhair
tā hai ḳhirqa aur kulāh
kauñde hai dil par barq sī aaj
pesh-e-nazar hai kis kī nigāh
va.ada kar ke raat kā tum
ḳhuub hī aa.e vaah jī vaah
'qā.em' se koī ho hai ḳhafā
banda, ḳhādim, daulat-ḳhvāh
Top Urdushayar.com