Qayem Chandpuri

phuTi bhali wo aankh jo aansu se tar nahin

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
phūTī bhalī vo aañkh jo aañsū se tar nahīñ
kis kaam hai vo siip ki jis meñ guhar nahīñ
mun.im hai kyā ki jis se koī bahra-var nahīñ
kis kaam kā vo naḳhl ki jis meñ samar nahīñ
banda huuñ be-ḳhudī kā maiñ us mast kī jise
āshob-e-roz-e-hashr se aslan ḳhabar nahīñ
yā-rab ḳhalish se aah kī ho jo na bahra-mand
jis dil kā takiya-gāh sar-e-neshtar nahīñ
ai dil ba-rañg-e-ġhuncha na mil gul-ruḳhoñ se tū
apnī girah meñ un ke khilāne ko zar nahīñ
saaqī hai shab kī dast-darāzī kā kyā gila
pyāre jo be-ḳhudī meñ huā mo'tabar nahīñ
nālāñ na huuñ galī meñ tirī maiñ to kyā karūñ
murġh-e-chaman meñ naala sivā kuchh hunar nahīñ
joñ ashk ek laġhzish-e-pā meñ ga.e haiñ paar
hastī se tā-ba-nīstī chandāñ safar nahīñ
'qā.em' jo is tarah tū phire hai ḳharāb-o-ḳhvār
ai ḳhānumāñ-ḳharāb magar tere ghar nahīñ
Top Urdushayar.com