jī talak ātish-e-hijrāñ meñ sambhālā na gayā
ghar meñ sab kuchh thā pe ham se to nikālā na gayā
ojhal is hastī ke tinke ke yaqīnī thā pahāḌ
ye par-e-kāh hī par nazroñ se Taalā na gayā
go ki detā thā falak mol meñ dil ke do-jahāñ
itnī qīmat pe to is maal ko Daalā na gayā
raḳht bāñdhā na kis andoh o ḳhushī ne dil se
ik tire ġham hī kā is ghar se aTālā na gayā
kyā zar-e-dāġh na gardūñ ne diye 'qā.em' ko
is qalandar kā pa ik roz divālā na gayā