nahīñ band-e-qabā meñ tan hamārā
hai uryānī hī pairāhan hamārā
rakheñ apne ta.iiñ ham kis tarah dost
ho tujh sā shaḳhs jab dushman hamārā
haiñ ye kāhīda ham ġham se ki juuñ sham.a
hai ek ab jeb aur dāman hamārā
nazar meñ ka.aba kyā Thahre ki yaañ dair
rahā hai muddatoñ maskan hamārā
chaman meñ gar hai tū bulbul to min-ba.ad
haiñ ham aur gosha-e-gulḳhan hamārā
bahār-e-dāġh thī jab dil pe 'qā.em'
ajab sarsabz thā gulshan hamārā