har ik sūrat meñ tujh ko jānte haiñ
ham is bahrūp ko pahchānte haiñ
hai qādir to ḳhudā lekin butāñ bhī
vo kar chukte haiñ jo kuchh Thānte haiñ
tū nāseh maan yā mat maan lekin
tirī bāteñ koī ham jānte haiñ
ga.e gauhar ke tājir jis taraf se
ham un rastoñ kī maaTī chhānte haiñ
na sambhlā āsmāñ se ishq kā bojh
hamīñ haiñ jo ye magdar bhānte haiñ
murīd-e-ḳhāndān-e-ishq jo hai
ham apnā piir use gardānte haiñ
kalī māreñ haiñ do raka.at pe zāhid
na DañD peleñ na magdar bhānte haiñ
bahut jaage ham us mahfil meñ 'qā.em'
koī dam ab to chādar tānte haiñ