Qayem Chandpuri

durd pi lete hain aur dagh pacha jate hain

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
durd pī lete haiñ aur daaġh pachā jaate haiñ
yaañ balā-nosh haiñ jo aa.e chaḌhā jaate haiñ
dekh kar tum ko kahīñ duur ga.e ham lekin
Tuk Thahar jaao to phir aap meñ aa jaate haiñ
jab talak paañv meñ chalne kī hai tāqat baaqī
hāl-e-dil aa ke kabhū tujh ko dikhā jaate haiñ
ishq kā kyūñki butāñ se kare iḳhfā koī
Dhab se nazroñ meñ ye kāfir vahīñ pā jaate haiñ
tarah sozan kī jo haiñ rishta-e-ulfat meñ phañse
jis taraf sair kareñ rū-ba-qazā jaate haiñ
kaun ho ġhuncha-sifat apne sabā kā marhūn
jaise tañg aa.e the vaise hī ḳhafā jaate haiñ
rahiyo hushiyār tū lap-jhap se butāñ kī 'qā.em'
baat kī baat meñ vaañ dil ko uḌā jaate haiñ
Top Urdushayar.com