shikva na baḳht se hai ne āsmāñ se mujh ko
pahuñchī jo kuchh aziyyat apne gumāñ se mujh ko
qāsid kahe to hai tū pūchhe thā haal terā
tasdīq is kī lekin hove kahāñ se mujh ko
āshiq na thā maiñ bulbul kuchh gul ke rañg-o-bū kā
ik uns ho gayā thā is gulsitāñ se mujh ko
jaatā huuñ jis jagah ab vaañ ḳhānumāñ hai merā
khoyā hai ai falak tiiñ go ḳhānumāñ se mujh ko
bā-vasf-e-be-kamālī izzat-talab huuñ 'qā.em'
darḳhur na ho so kyūñ-kar ahl-e-jahāñ se mujh ko