Qayem Chandpuri

hai be-asar aisi hi jo apni kashish-e-dil

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
hai be-asar aisī hī jo apnī kashish-e-dil
jī le hī ke chhoḌegī ye ik din ḳhalish-e-dil
thā mū mujhe aamad meñ koī us kī ki nāgāh
le jaa.e na ghar se kahīñ bāhar tapish-e-dil
zahrāb o halāhil se jo kuchh kaam na niklā
de kar ke maiñ kī ḳhūn-e-jigar parvarish-e-dil
kis tarah koī guzre tirī rah se ki pyāre
har gaam pe is kūche meñ hai chapqalish-e-dil
kyā naqsh ki ḳhātir se hue mujh ko magar ek
har naqsh tirā aaTh pahar muntaqish-e-dil
hāthoñ se dil o diida ke aayā huuñ nipaT tañg
āñkhoñ ko ro.uuñ yā maiñ karūñ sarzanish-e-dil
diijo na ise us but-e-bebāk ko 'qā.em'
zinhār ki nāzuk hai nihāyat tapish-e-dil
Top Urdushayar.com