Qayem Chandpuri

go ba-nam ek zaban rakhti hai shama

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
go ba-nām ik zabān rakhtī hai sham.a
kab tirā sā bayān rakhtī hai sham.a
tere mukhḌe kā sā namak ma.alūm
ek phīkī sī aan rakhtī hai sham.a
sarfaroshī ke muḳhtara.a ham haiñ
go ab ūñchī dukān rakhtī hai sham.a
daaġh par daaġh uThā.e dil kī tarah
kab ye tāb-o-tavān rakhtī hai sham.a
rove go tuuda tuuda kab aise
dīda-e-ḳhūñ-fishān rakhtī hai sham.a
aah is dāġh-e-dil se jis se ki dast
nit sū-e-āsmān rakhtī hai sham.a
kyūñki parvāna rashk se na jale
sab ke aage fulān rakhtī hai sham.a
khol mukhḌā ki hai ye mujh ko yaqīñ
tujh se da.avā gumān rakhtī hai sham.a
ye dil afsurda vaa.e qismat-e-bad
soz tā-ustuḳhvān rakhtī hai sham.a
rātoñ jaagī hai misl 'qā.em' kī
tab ye soz-e-nihān rakhtī hai sham.a
Top Urdushayar.com