Sakhi Lakhnvi

saKHi se chhuT kar jaenge ghar aap

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876

'saḳhī' se chhūT kar jā.eñge ghar aap

ajī kuchh ḳhair bhī hai haiñ kidhar aap

vo āshiq haiñ ki marne par hamāre

kareñge yaad ham ko umr bhar aap

parī samjheñ parī, hūreñ kaheñ huur

hue kis nuur ke paidā bashar aap

na āshiq haiñ zamāne meñ na ma.ashūq

idhar ham rah ga.e haiñ aur udhar aap

dikhā.eñge ham apnī lāġharī bhī

abhī to dekhiye apnī kamar aap

mire naale agar sunñe hai shauq

to sāhab haath rakhiye kaan par aap

rasā.ī us ke zulfoñ tak na hogī

'saḳhī' be-fā.eda māreñ na sar aap

Top Urdushayar.com