Arif Ishtiaque

zindagi yun karen basar kab tak

Arif Ishtiaque

Pakistan

1979
zindagī yuuñ kareñ basar kab tak
ham mileñge nahīñ magar kab tak
tum ba-zāhir jo lā-ta.alluq ho
aur ham tum se darguzar kab tak
rāste rāste gumāñ terā
aur tanhā karūñ safar kab tak
aah nikle na kab talak āḳhir
ḳhuun hotā rahe jigar kab tak
aao dekheñ ye hijr kā sahrā
aur kartā hai dar-ba-dar kab tak
ek ummīd-e-vasl hai lekin
ek ummīd pe guzar kab tak
Top Urdushayar.com