Arif Ishtiaque

dil TuTa to kya se kya nuqsan hua

Arif Ishtiaque

Pakistan

1979
dil TuuTā to kyā se kyā nuqsān huā
yak-dam mujh meñ nāzil ik shaitān huā
ye fitrat hai aur fitrat kā matlab hai
jis ne pahle maarā vo bhagvān huā
sach bolā thā maiñ ne tum ne jhuuT sunā
mujh pe tum aur maiñ tum pe hairān huā
bai.at nahīñ kī ham ne ūñche nāmoñ kī
par jo likkhā sab kā sab farmān huā
bhiiḌ lagī thī rañg-birañge nāmoñ kī
phir merī be-rañgī kā elaan huā
Top Urdushayar.com