Arif Ishtiaque

main ab ukta gaya hun furqaton se

Arif Ishtiaque

Pakistan

1979
maiñ ab uktā gayā huuñ furqatoñ se
nikālūñ kis tarah tujh ko ragoñ se
judā.ī taak meñ baiThī huī thī
mohabbat kar rahe the mashvaroñ se
tujhe maiñ ne mujhe tū ne gañvāyā
magar ab fā.eda in tazkaroñ se
duā.eñ ho ga.iiñ nā rad tumhārī
maiñ qaa.il hī nahīñ huuñ falsafoñ se
mire sab hausle maare ga.e haiñ
tumhārī kam-sinī ke faisloñ se
tumhārī yaad ḳhūnī hai mirī bhī
laḌeñ ham kis tarah in bheḌiyoñ se
vo vahshat hai ki hai vo sog barpā
maiñ hañstā tak nahīñ huuñ qahqahoñ se
tumhāre ġham ki jaañ ko aa ga.e haiñ
nahīñ shāyad magar haañ kuchh dinoñ se
hamāre beach ik dīvār hai ab
ise ūñchā kareñge nafratoñ se
Top Urdushayar.com