Abu Mohammad Sahar

sab ek na ek sarab ke chakkar mein rah gae

Abu Mohammad Sahar

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1930-2002
sab ik na ik sarāb ke chakkar meñ rah ga.e
kyā pher aadmī ke muqaddar meñ rah ga.e
kyā dard-e-mushtarak thā zamīr-e-sukūt meñ
kho kar jo ham udaas se manzar meñ rah ga.e
ye dasht-e-zīst aur ye ḳhārā-tarāshiyāñ
jalve hunar ke sīna-e-āzar meñ rah ga.e
dekhā sanam-kadoñ ko to aksar huā ḳhayāl
vo naqsh-e-jāvedāñ the jo patthar meñ rah ga.e
darvāze vā the phir bhī ajab be-darī sī thī
ham ḳhud asiir ho ke khule ghar meñ rah ga.e
yuuñ bhī ġham o nashāt kā qissa na ho tamām
insān Dhal ke yaas ke paikar meñ rah ga.e
miltā nahīñ koī sar-e-shorīda ab 'sahar'
patthar hī bas dayār-e-sitamgar meñ rah ga.e
Top Urdushayar.com