Abu Mohammad Sahar

kho ke dekha tha pa ke dekh liya

Abu Mohammad Sahar

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1930-2002
kho ke dekhā thā pā ke dekh liyā
har tarah dil dikhā ke dekh liyā
phir khule ibtidā-e-ishq ke baab
us ne phir muskurā ke dekh liyā
yaad kuchh bhī rahā na us ke sivā
ham ne us ko bhulā ke dekh liyā
zindagī ne ḳhushī ke dhoke meñ
rabt ġham se baḌhā ke dekh liyā
aise bichhḌe ki phir mile na kabhī
ḳhuub dāman chhuḌā ke dekh liyā
ḳhvāb mub.ham ḳhayāl be-ma.anī
rañj-e-dūrī uThā ke dekh liyā
kitne biite dinoñ kā ġham thā 'sahar'
aaj jis ne rulā ke dekh liyā
Top Urdushayar.com