kaalī ġhazal suno na suhānī ġhazal suno
mausam ye kah rahā hai ki dhānī ġhazal suno
jaagā vo dard dil meñ ki aañsū nikal paḌe
barsā hai aaj TuuT ke paanī ġhazal suno
afsāna-e-junūñ nahīñ pāband-e-māh-o-sāl
yaad aa rahā hai daur-e-javānī ġhazal suno
apnī tamām aql-parastī ke bāvajūd
ye zindagī hai ab bhī divānī ġhazal suno
yuuñ to suḳhan ke aur bhī pairā.e haiñ magar
kahnī hai ham ko dil kī kahānī ġhazal suno
hoñ zaḳhm-e-ishq yā ki zamāne ke dard-o-dāġh
har ġham yahāñ hai dushman-e-jānī ġhazal suno
ḳhūn-e-jigar meñ fikr kī gahrā.iyāñ bhī haiñ
gar hai mizāj-e-falsafa-dānī ġhazal suno
sar par havā-e-sañg-e-malāmat chalī bahut
lekin ġhazal ne haar na maanī ġhazal suno
zeb-e-shafaq hai nau-e-bashar kā lahū 'sahar'
har shai hai is jahān kī faanī ġhazal suno