Abu Mohammad Sahar

chand ka raqs sitaron ka fusun mangti hai

Abu Mohammad Sahar

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1930-2002
chāñd kā raqs sitāroñ kā fusūñ māñgtī hai
zindagī phir koī andāz-e-junūñ māñgtī hai
muddateñ guzrīñ ki yaḳh-basta hue qalb-o-jigar
ġhairat-e-ishq magar soz-e-darūñ māñgtī hai
faiz-e-mausam thā parinde hue āzād magar
ḳhū-e-sayyād vahī said-e-zabūñ māñgtī hai
fasl-e-gul ke liye kyā jaan pe khele koī
ab to har mauj-e-havā tohfa-e-ḳhūñ māñgtī hai
kuchh to ai yūrish-e-ālām-o-havādis dam le
gardish-e-vaqt bhī thoḌā sā sakūñ māñgtī hai
ḳhūbī-e-fan nahīñ parvarda-e-āvurd 'sahar'
rūh-e-taḳhlīq dam-e-kun-fa-yakūñ māñgtī hai
Top Urdushayar.com