ye to nahīñ ki bādiya-paimā na aa.egā
ai dasht-e-ārzū koī ham sā na aa.egā
chalnā nasīb-e-zīst hai yuuñ hī chale chalo
is rāste meñ shahr-e-tamannā na aa.egā
rāh-e-vafā meñ qatra-e-shabnam bhī hai bahut
jis se bujhegī pyaas vo dariyā na aa.egā
ḳhud ho sake to apne andhere ujaal lo
ab koī sāhab-e-yad-e-baizā na aa.egā
ai ahl-e-dil ḳhamosh ki ye jā-e-sabr hai
dukh to yūñhī raheñge masīhā na aa.egā
gaahe vufūr-e-shauq to gaahe hujūm-e-yās
sab kuchh to aa.egā hameñ jiinā na aa.egā
baiThe raheñ 'sahar' yūñhī dīvār o dar liye
apnā jise kaheñ koī aisā na aa.egā