Arif Ishtiaque

tumhaari yaad tari ho rahi hai

Arif Ishtiaque

Pakistan

1979
tumhārī yaad taarī ho rahī hai
baḌī hī yādgārī ho rahī hai
tumheñ to lauT kar aanā nahīñ hai
mujhe to intizārī ho rahī hai
mire andar koī laḌ mar rahā hai
baḌī taḳhrīb-kārī ho rahī hai
tire kūche meñ to sāzish huī thī
vahāñ kyuuñ āh-o-zārī ho rahī hai
tire andar kahāñ sabza ugegā
ḳhizāñ meñ kāsht-kārī ho rahī hai
mujhī pe Daal de saarā ḳhasāra
tujhe kyuuñ sharmsārī ho rahī hai
ye duniyā kī mohabbat aur ye duniyā
tumhārī thī tumhārī ho rahī hai
dar-e-aflāk se kyā jhāñktā hai
zamīñ pe mārā-mārī ho rahī hai
zamīñ par ek mulk aisā hai jis meñ
ġhazab kī dīn-dārī ho rahī hai
Top Urdushayar.com