kaam har zaḳhm ne marham kā kiyā ho jaise
ab kisī se koī shikva na gilā ho jaise
umr-bhar ishq ko ġham-dīda na rakkhe kyūñkar
hādisa vo ki abhī kal hī huā ho jaise
ek muddat huī dekhā thā jise pahle-pahal
tere chehre meñ vahī chehra chhupā ho jaise
husn ke bhed kā pā lenā nahīñ hai āsāñ
hai ye vo raaz ki rāzoñ meñ palā ho jaise
duur tak ek nigah jā ke Thahar jaatī hai
vaqt kā fāsla kuchh DhūñD rahā ho jaise
yād-e-māzī se ye afsurda sī raunaq dil meñ
āḳhir-e-shab koī darvāza khulā ho jaise
hazl ko log 'sahar' aaj ġhazal kahte haiñ
zauq-e-sherī pe burā vaqt paḌā ho jaise