Abu Mohammad Sahar

zamir-e-nau-e-insani ke din hain

Abu Mohammad Sahar

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1930-2002
zamīr-e-nau-e-insānī ke din haiñ
sadāqat kī jahāñbānī ke din haiñ
tilism-e-sub.h-kāzib ḳhud hī TuuTā
tulūa-e-sub.h-e-nūrānī ke din haiñ
jumūd-e-fikr toḌā phir bashar ne
urūj-e-zehn-e-insānī ke din haiñ
hukūmat-e-vaqf-e-istibdād kyuuñ ho
usī nukte kī arzānī ke din haiñ
hue be-dast-o-pā zālim purāne
sitam kī ḳhāna-vīrānī ke din haiñ
khulī har-fard-o-har-millat kī qismat
ki āzādī kī sultānī ke din haiñ
'sahar' vājib hai ta.azīm-e-taġhayyur
ye maanā ham ne hairānī ke din haiñ
Top Urdushayar.com