Abu Mohammad Sahar

har KHauf har KHatar se guzarna bhi sikhiye

Abu Mohammad Sahar

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1930-2002
har ḳhauf har ḳhatar se guzarnā bhī sīkhiye
jiinā hai gar aziiz to marnā bhī sīkhiye
ye kyā ki Duub kar hī mile sāhil-e-najāt
sailāb-e-ḳhūñ se paar utarnā bhī sīkhiye
aisā na ho ki ḳhvāb hī rah jaa.e zindagī
jo dil meñ Thāniye use karnā bhī sīkhiye
bigḌe bahut kashākash-e-nāz-o-niyāz meñ
ab us kī anjuman meñ sañvarnā bhī sīkhiye
hotā hai pastiyoñ ke muqaddar meñ bhī uruuj
ik mauj-e-tah-nashīñ kā ubharnā bhī sīkhiye
auroñ kī sard-mehrī kā shikva bajā 'sahar'
ḳhud apne dil ko pyaar se bharnā bhī sīkhiye
Top Urdushayar.com