phūloñ kī talab meñ thoḌā sā āzār nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ḳhud aa ke jo uljhe dāman se vo ḳhaar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ho din kī fazāoñ kā sargam yā bhīgtī rātoñ kā aalam
kitnā hī suhānā ho mausam dildār nahīñ to kuchh bhī nahīñ
kyuuñ ahl-e-sitam kā dil toḌeñ phir shahr meñ chal kar sar phoḌeñ
sahrā-e-junūñ ko ab chhoḌeñ dīvār nahīñ to kuchh bhī nahīñ
har mauj-e-balā ik sāhil hai girdāb hī apnā hāsil hai
ye kashti-e-dil vo qātil hai mañjhdār nahīñ to kuchh bhī nahīñ
kyā mīThe bol sunāte ho kyā giit anokhe gaate ho
kyā naġhmoñ par itrāte ho jhankār nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye naam o numūd kī ḳhvāhish kyā ye ilm o fan kī numā.ish kyā
apnā to aqīda hai ye 'sahar' meyār nahīñ to kuchh bhī nahīñ