Abu Mohammad Sahar

ab tak ilaj-e-ranjish-e-be-ja na kar sake

Abu Mohammad Sahar

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1930-2002
ab tak ilāj-e-ranjish-e-be-jā na kar sake
ik umr meñ bhī husn ko apnā na kar sake
thī ek rasm-e-ishq so ham ne bhī kī adā
duniyā meñ koī kaam anokhā na kar sake
kal raat dil ke saath bujhe is tarah charāġh
yādoñ ke silsile bhī ujālā na kar sake
ab is se kyā ġharaz hai ki anjām kyā huā
ye to nahīñ ki terī tamannā na kar sake
ḳhud ishq hī ko de ga.e rusvā.iyoñ ke daaġh
vo rāz-e-husn ham jinheñ ifshā na kar sake
zauq-e-junūñ ko raas nahīñ tañg bastiyāñ
sahrā na ho to kyā koī dīvāna kar sake
har imtiyāz us ke liye hech hai 'sahar'
jo apnī zindagī ko tamāshā na kar sake
Top Urdushayar.com