bastiyāñ luTtī haiñ ḳhvāboñ ke nagar jalte haiñ
ham vahāñ haiñ ki jahāñ shām-o-sahar jalte haiñ
dil ke aivān meñ afsurda charāġhoñ kā dhuāñ
duur kuchh duur vo yādoñ ke khañDar jalte haiñ
phir kisī manzil-e-jāñ-soz kī jānib haiñ ravāñ
chob-e-sahrā kī tarah ahl-e-safar jalte haiñ
yuuñ to pur-amn hai ab shahr-e-sitamgar lekin
kuchh makāñ ḳhud hī sar-e-rāhguzar jalte haiñ
hai ba-zāhir koī sho.ala na chamak aur sharar
ham kisī ġham meñ ba-andāz-e-digar jalte haiñ
ātish-e-talḳhī-e-hālāt meñ kyā kuchh na jalā
ab gila kyā hai jo ehsās ke par jalte haiñ
go ho barfāb bhī taskīn hai dushvār 'sahar'
apnī hī aag meñ arbāb-e-hunar jalte haiñ