vaqt ġhamnāk savāloñ meñ na barbād kareñ
kuchh na kuchh sa.i-e-ilāj-e-dil-e-nāshād kareñ
ishq ko husn ke atvār se kyā nisbat hai
vo hameñ bhuul ga.e ham to unheñ yaad kareñ
bastiyāñ kar chuke vīrān tire dīvāne
ab ye lāzim hai ḳharāba koī ābād kareñ
tah meñ go hikmat-e-parvez hai raqsāñ lekin
kaam har ek ba-nām-e-ġham-e-farhād kareñ
hujjat-o-illat-e-mālūl hai yāroñ meñ 'sahar'
be-sabab shai kā bhī koī sabab ījād kareñ