Abu Mohammad Sahar

zindagi KHak-basar shola-ba-jaan aaj bhi hai

Abu Mohammad Sahar

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1930-2002
zindagī ḳhāk-basar shola-ba-jāñ aaj bhī hai
tujh ko kho kar tujhe paane kā gumāñ aaj bhī hai
ek be-nām sī uljhan hai dil-o-jāñ pe muhīt
ek ġham naam sā ehsās-e-ziyāñ aaj bhī hai
ḳhaak se tā-ba-falak terī nigāhoñ kā tilism
Thahrā Thahrā sā jahān-e-guzarāñ aaj bhī hai
tark-e-ulfat meñ bhī ulfat ke nishāñ baaqī haiñ
qāfila luT ke tirī samt ravāñ aaj bhī hai
kitne saaqī haiñ ki haiñ jām-ba-kaf kal kī tarah
shuġhl-e-mai hai ki 'sahar' bār-e-garāñ aaj bhī hai
Top Urdushayar.com