Murtaza Ali Shad

gulab-chehre pe shab ka eajaz bolta hai

Murtaza Ali Shad

1935
gulāb-chehre pe shab kā e.ajāz boltā hai
vo chup hai lekin nazar kā andāz boltā hai
maiñ jaise ḳhushbū kī bārishoñ maiñ nahā rahā huuñ
havā ke hoñToñ se koī gul-bāz boltā hai
mujhī meñ raushan charāġh-e-naġhma magar abhī tak
mujhe gumāñ hai ki parda-e-sāz boltā hai
pukārtī hai koī sadā mujh ko dasht-e-jāñ se
ye tū hai yā merā vahm-e-āvāz boltā hai
parind har chand qaid to ho gayā hai lekin
har ik bun-e-mū se josh-e-parvāz boltā hai
Top Urdushayar.com