Murtaza Ali Shad

yaqin ki had mein hun ya warta-e-guman mein hun

Murtaza Ali Shad

1935
yaqīñ kī had meñ huuñ yā varta-e-gumān meñ huuñ
mujhe ḳhabar hai ki maiñ huuñ par imtihān meñ huuñ
vo par sameT ke ḳhush hai ki pā gayā mujh ko
maiñ zaḳhm khā ke huuñ nāzāñ ki āsmān meñ huuñ
koī to thā ki jo patthar banā gayā chhū kar
mujhe batāo maiñ kis shaḳhs kī amaan meñ huuñ
havā kī aañkh se guzrūñ to ma.arka Thahre
misāl-e-tīr abhī halqa-e-kamān meñ huuñ
huuñ muntazir kisī lams-nigāh kā kab se
maiñ ik kitāb kī sūrat kisī dukān meñ huuñ
badan hai barf magar jal rahā huuñ lakḌī sā
maiñ apne ghar meñ huuñ yā ġhair ke makān meñ huuñ
na kar talāsh ki sāhil nahīñ mirā maskan
maiñ har ghaḌī tirī kashtī ke bādbān meñ huuñ
Top Urdushayar.com