Ataur Rahman Jameel

aaj bhi jis ki KHushbu se hai matwali matwali raat

Ataur Rahman Jameel

aaj bhī jis kī ḳhushbū se hai matvālī matvālī raat
vo tire jalte pahlū meñ thī jaan nikālne vaalī raat
sub.h se tanhā tanhā phirnā phir aa.egī savālī raat
aur tire paas dharā hī kyā hai ai mirī ḳhālī ḳhālī raat
dil par barf kī sil rakh denā nāgan ban kar Das lenā
apne liye donoñ hī barābar kaalī ho ki ujālī raat
piile patte sūkhī shāḳhoñ par bhī to akasr chamkā chāñd
mujh se milne kabhī na aa.ī terī naaz kī paalī raat
dekh liye āñkhoñ ne merī taaza shabnam baasī phuul
garche sub.h ko merī ḳhātir tum ne mujh se chhupā lī raat
tum is ko sonā kahte ho tum kyā ham bhī kahte haiñ
apnī thakī palkoñ par ham ne lamha bhar jo sambhālī raat
aane vaalī aa nahīñ chuktī jaane vaalī jā bhī chukī
vaise to har jaane vaalī raat thī aane vaalī raat
Top Urdushayar.com