maanā ki sitāre sar-e-aflāk bahut haiñ
ham ko bhī hamāre ḳhas-o-ḳhāshāk bahut haiñ
khilte haiñ kidhar gul dil-e-sad-chāk bahut haiñ
dāman haiñ kahāñ dīda-e-namnāk bahut haiñ
itnā na hañso sāhab-e-idrāk bahut haiñ
āhista chalo log tah-e-ḳhāk bahut haiñ
miTne ko to miT jaate haiñ arbāb-e-mohabbat
iksīr haiñ is raah meñ kam ḳhaak bahut haiñ
jis rañg meñ chāhā tujhe us rañg meñ dekhā
lamhe tirī furqat ke tarab-nāk bahut haiñ
un ko bhī 'jamīl' apne muqaddar se gila hai
vo log jo sunte the ki chālāk bahut haiñ