kahāñ ga.e shab-e-mahtāb ke jamāl-zada
akelā shahr meñ phirtā huuñ maiñ ḳhayāl-zada
tumhārī bazm se jab bhī uThe to hāl-zada
kabhī javāb ke maare kabhī savāl-zada
tire firāq ke maare nazar to aate haiñ
nigār-e-sher kahāñ haiñ tire visāl-zada
na dekho yuuñ mirī jānib udaas āñkhoñ se
ki mujh se pahle bhī guzre bahut kamāl-zada
sitāre Duub rahe haiñ 'jamīl' so jaao
ye kārobār-e-jahāñ kab na thā ma.āl-zada