tirī āñkhoñ meñ ik mub.ham fasāna DhūñDh hī legā
dil-e-barbād jiine kā bahāna DhūñDh hī legā
ye duniyā hai yahāñ har ābgīna TuuT jaatā hai
kahīñ chhupte phiro āḳhir zamāna DhūñDh hī legā
kisī kā naqsh-e-pā to mil hī jā.egā jo āñkheñ haiñ
agar sar hai to koī āstāna DhūñDh hī legā
kahīñ to umr bhar kī be-qarārī le hī jā.egī
koī dasht-e-junūñ terā divāna DhūñDh hī legā
'jamīl' ik ġham-e-farosh-e-vādī-e-ġhurbat sahī lekin
tumhāre shahar meñ koī Thikāna DhūñDh hī legā