bahār aa kar jo gulshan meñ vo gaa.eñ
to ġhuncha har taraf chuTkī bajā.eñ
ye tum ko dekh kar gul phuul jaa.eñ
ki jaame meñ na phir phūle samā.eñ
mile rasta to sū-e-charḳh jaa.eñ
kahāñ tak is zamīñ par ḳhaak uḌā.eñ
misāl-e-sham.a us par lau lagā.eñ
sahar tak shaam se aañsū bahā.eñ
mire marne se ye andher kā sog
kaho missī maleñ surma lagā.eñ
chaman meñ us se ham-chashmī ye diida
tirī āñkheñ na nargis phuuT jaa.eñ
ḳhudā ke paas kyā jā.eñge zāhid
gunah-gāroñ se jab ye baar paa.eñ
taraddud phuul kā kis vāste hai
mirī turbat pe vo tevrī chaḌhā.eñ
mire lāshe ko kāñdhā de ke bole
chalo turbat meñ ab tum ko sulā.eñ
'saḳhī' rote hī rote dam nikal jaa.e
farāġhat ho kahīñ gañgā nahā.eñ