Sahir Dehlavi

jala hai kis qadar dil zauq-e-kawish-ha-e-mizhgan par

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
jalā hai kis qadar dil zauq-e-kāvish-hā-e-mizhgāñ par
ki sau sau nashtaroñ kī nok hai ik ik rag-e-jāñ par
paḌā hogā magar aks-e-ezār-e-lāla-gūñ varna
ye gustāḳhī hamārā ḳhuun aur qātil ke dāmāñ par
tarīq-e-ishq meñ hai rañj pahle aur ḳhushī pīchhe
madār-e-sub.h roz-e-vasl hai ik shām-e-hijrāñ par
mirī dīvāngī roz-e-qayāmat mere kaam aa.ī
qalam rahmat kā khīñchā us ne āḳhir mere isyāñ par
agar un ke taġhāful ko hai da.avā apnī tamkīñ kā
hamārī ḳhud-farāmoshī ko hai naaz apne nisyāñ par
Top Urdushayar.com