goyā zabān haal thī 'sāhir' ḳhamosh thā
ye sa.ī-e-zabt thī vo taqāzā-e-josh josh thā
parde meñ lan-tarānī thī rag rag meñ josh thā
chamkī jo barq husn na maiñ thā na hosh thā
mai-ḳhāna-e-ḳhayāl meñ mastī kā josh thā
gul thā charāġh-e-aql meñ gum-karda hosh thā
be-harf-o-saut thā merā nazāra-o-kalām
rāz-o-niyāz be-asar chashm-o-gosh thā
kaifiyateñ haiñ kuchh mujhe josh-e-junūñ kī yaad
baiThā jo koī nīsh-e-rag-e-jāñ meñ nosh thā
tere qatīl-e-ġhamza ko tan thā vabāl-e-jāñ
tere shahīd-e-nāz ko sarbār dosh thā
dil kān-e-ma.arifat kā thā ik jauhar-e-latīf
go unsurī vajūd meñ ye ḳhaak posh thā
kyā mastiyāñ thiiñ shab nigah-e-mast-e-nāz se
saaqī ba-ġhamza buġhcha-e-mai-farosh thā
miinā ne gosh-e-jām meñ jhuk kar kahā ye raaz
haq haq-e-naved-e-vasl-o-payām-e-sarosh thā
kyā kyā thiiñ husn-o-ishq meñ bāham ishārateñ
thā koī saḳht giir koī saḳht kosh thā
sarf-e-nazāra chashm thī vaqf-e-kalām-e-gosh
dil jalva-mast aur lab-e-'sāhir' ḳhamosh thā