hausla vaj.h-e-tapish-hā-e-dil-o-jāñ na huā
shola-e-sham.a tirī bazm meñ raqsāñ na huā
husn thā mast-e-azal jām-e-anā lailā se
tan kī uryānī se majnūñ koī uryāñ na huā
lab-e-mansūr se dī kis ne anal-haq kī sadā
tū agar parda-e-pindār meñ pinhāñ na huā
ham rahe chashm-e-ināyat se hamesha mahrūm
dil-nashīñ tīr-e-nazar kā koī paikāñ na huā
chashm-e-jānāñ meñ samāte haiñ samāne vaale
maut se aañkh laḌānā koī āsāñ na huā
dil hai but-ḳhāna-e-asnām-e-ḳhayālī 'sāhir'
tū vo kāfir hai ki bhūle se musalmāñ na huā