Sahir Dehlavi

samad ko sarapa sanam dekhte hain

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
samad ko sarāpā sanam dekhte haiñ
musammā ko asmā meñ ham dekhte haiñ
tujhe kaif-e-mastī meñ ham dekhte haiñ
salāsa nazar kā adam dekhte haiñ
tirā husn-e-ausāf ham dekhte haiñ
fanā meñ baqā dam-ba-dam dekhte haiñ
jo haiñ ḳhālī-o-pur se sar-mast-e-naġhma
ham-āhañgī-e-kaif-o-kam dekhte haiñ
nazar-gāh terī hai ā.īna-dil
tujhe hairatī ho ke ham dekhte haiñ
fanā hai fanā muqtazā-e-mohabbat
taqāzā-e-ulfat ko ham dekhte haiñ
ġhubār-e-dil-o-dīda jo paak kar de
ham us ashk-e-shabnam ko yam dekhte haiñ
uThā jab se pindār-e-hastī kā parda
tujhe nūr-e-vahdat meñ ham dekhte haiñ
makīn-e-makāñ lā-makānī hai 'sāhir'
ham andāz-e-dair-o-haram dekhte haiñ
Top Urdushayar.com