junūñ ke josh meñ jis ne mohabbat ko hunar jaanā
subukdoshī samajhtā hai vo is saudā meñ sar jaanā
kisī kā naaz thā andāz thā ab sar-ba-sar jaanā
udhar chaḌhnā nigāhoñ meñ idhar dil meñ utar jaanā
tasavvur ḳhāl-o-āriz kā tamāshā-e-do-ālam hai
yahāñ āñkhoñ meñ rahnā hai vahāñ dil meñ utar jaanā
junūn-e-ishq meñ kab tan-badan kā hosh rahtā hai
baḌhā jab josh-e-saudā ham ne sar ko dard-e-sar jaanā
havas-bāzī nahīñ ye ishq-bāzī hai ḳhudā shāhid
mohabbat meñ hai shart-e-avvalīñ jī se guzar jaanā
miTā.ī apnī hastī ham ne ishq-e-jān-e-jānāñ meñ
fanā meñ dekh kar rañg-e-baqā ko mo'tabar jaanā
sarāpā-e-vafā ik zinda-e-jāved o be-ġham hai
takalluf-bartaraf ġham kyā hai jiinā aur mar jaanā
hamārī umr kā paimāna ab labrez hai 'sāhir'
chhalaknā farz ho jaatā hai paimāne kā bhar jaanā