Sahir Dehlavi

kaif-e-masti mein ajab jalwa-e-yaktai tha

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
kaif-e-mastī meñ ajab jalva-e-yaktā.ī thā
tū hī tū thā na tamāshā na tamāshā.ī thā
husn be-vāsta-e-zauq-e-ḳhud-ārā.ī thā
ishq be-vāhima-e-lazzat-e-rusvā.ī thā
terī hastī meñ na kasrat thī na vahdat paidā
hama o be-hama o bā-hama yakjā.ī thā
parda-dar koī na thā aur na dar-parda koī
ġhairat-e-ishq na thī ālam-e-tanhā.ī thā
lā-fanā terī sifat thī terī hastī kā subūt
be-nishāñ terā nishāñ sūrat-e-bīnā.ī thā
haal thā haal na maazī thā na thā mustaqbil
az-azal tā-ba-abad jalva-ba-ra.anā.ī thā
zaat qaa.em thī ba-zāt aur sifat thī ma.adūm
kun na thā ma.arka-e-anjuman-ārā.ī thā
bazm meñ tū ne jo ulTā ruḳh-e-raushan se naqāb
ek aalam tere jalve kā tamāshā.ī thā
fitna-zā husn huā ishq huā shor-e-fagan
ram huā shauq-fazā shauq tamannā.ī thā
koī sābit koī sayyāra koī mutahayyar
koī āshiq koī majnūñ koī saudā.ī thā
harf aur saut meñ aatā hai kisī kā ho kalām
'sāhir' āġhāz meñ kun ġhāyat-e-paidā.ī thā
Top Urdushayar.com