Iqbal Haider

bujh gai dil ki kiran aaina-e-jaan TuTa

Iqbal Haider

bujh ga.ī dil kī kiran ā.īna-e-jāñ TuuTā
par-e-parvāz sameTe to lahū sā phūTā
rasm-e-āshufta-sarī meñ haiñ garebāñ dāman
falak-e-pīr batā kaun hai sachchā jhūTā
chāñd sūraj hue jaate haiñ dhueñ meñ rū-posh
jaras-e-vaqt kahāñ aag kā chashma phūTā
marsiyoñ aur qasīdoñ se bharī hai mahfil
shahr-āshob se har rishta-e-dānish TuuTā
shajar-e-dard kī har shāḳh hai kashkol-numā
sar-kashīda hai magar baaġh kā buuTā buuTā
vahī kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jāñ hai 'iqbāl'
na koī rabt banā aur na rishta TuuTā
Top Urdushayar.com