Sahir Dehlavi

darmiyan-e-jism-o-jaan hai ek ajab surat ki aaD

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
darmiyān-e-jism-o-jāñ hai ik ajab sūrat kī aaḌ
mujh ko dil kī dil ko hai merī anāniyat kī aaḌ
aa gayā tark-e-ḳhudī kā gar kabhī bhūle se dhyān
dil ne paidā kī har ek jānib se har sūrat kī aaḌ
dete haiñ dil ke evaz vo dard bahr-e-imtihāñ
lete haiñ nām-e-ḳhudā apnī tamāniyyat kī aaḌ
nafs-parvar karte haiñ badnām nām-e-mai-kashī
parda-e-pindār meñ lete haiñ kaifiyyat kī aaḌ
parda-dārī chashm-e-nā-mahram se thī madd-e-nazar
darmiyāñ meñ Daal dī hai nuur ne hairat kī aaḌ
dīdanī jo kuchh hai jalva dekh chashm-e-pāk meñ
nuur ne vahdat meñ rah kar lī hai kyuuñ kasrat kī aaḌ
jab nihān-o-āshkārā jalva-e-jānāna hai
sab riyā-kārī hai sāhir ḳhalvat-o-jalvat kī aaḌ
Top Urdushayar.com