Sahir Dehlavi

dair-o-haram hain manzar-e-ain-e-iKHtilaf

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
dair-o-haram haiñ manzar-e-ā.īn-e-iḳhtilāf
haq par sadā nazar hai mirī hīn-e-iḳhtilāf
bairūn-e-dar haiñ sūrat-o-ma.anī ke parda-dār
haiñ parda-e-ḳhifā meñ qavānīn-e-iḳhtilāf
hai barqarār gardish-e-daurān-e-rozgār
nairañgī-e-ḳhayāl hai ā.īn-e-iḳhtilāf
mamnūn-e-rāstī hai har ik nuqta-e-nazar
madd-e-nazar jahāñ meñ hai tamkīn-e-iḳhtilāf
kyā pāra-hā-e-pairahan-e-uns baḳhiya hoñ
jab hoñ udheḌ-bun meñ majānīn-e-iḳhtilāf
lāzim hameñ hai qat-e-nazar madh-o-zam se ab
tahsīn-e-ittifāq hai nafrīn-e-iḳhtilāf
dildāriyāñ kahāñ haiñ vo 'sāhir' kabhī jo thiiñ
ḳhātir-shikan haiñ ab to mazāmīn-e-iḳhtilāf
Top Urdushayar.com