Sahir Dehlavi

nishan ilm-o-adab ka ab bhi hai ujDe dayaron mein

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
nishāñ ilm-o-adab kā ab bhī hai ujḌe dayāroñ meñ
ki 'sālim' aur 'muztar' haiñ purānī yādgāroñ meñ
ġharaz 'kaifī'-o-'shā.ir' 'sā.il'-o-'beḳhud' 'hasan' 'shaidā'
alam haiñ arsa-e-ilm-o-adab ke shahsavāroñ meñ
'nasīm' o 'barq' o 'raunaq' 'ġhaus' o 'kaifī' 'azmī' o 'māhir'
'sharar' aur 'zār'-o-'mo.ajiz' nāmvar haiñ sehr-kāroñ meñ
'mubīñ' 'yaktā' 'qamar' 'aḳhlāq' 'shauq' aur 'shākir'-o-'ġhāfil'
'munīr'-o-'shams' sab haiñ ilm-o-fan ke dost-dāroñ meñ
'quraishī' 'vāhidī' 'āsif-baqā.ī' aur 'hasan-ḳhvāja'
haiñ ahd-e-hāzira meñ sab adab ke puḳhta-kāroñ meñ
'sa.īd' o 'yās' o 'vahshī' 'amn' aur 'mahmūd' aur 'akbar'
nahīñ go dehlī vaale dehlavī haiñ isti.āroñ meñ
'munavār' 'muntazir' 'barakat' 'jarī' 'fānī' 'adīb' 'āshiq'
'nihāl' aur 'fikr' aate haiñ isī mad ke shumāroñ meñ
hamārī dars-gāhoñ meñ adab ke 'nāzim'-o-'nāshir'
ḳhudā rakkhe nazar aate haiñ aksar honhāroñ meñ
'alī' o 'tālib' o 'shaidā' o 'tābāñ' 'sāqī' o 'mā.il'
huā tārāj gulshan jab ḳhizāñ aa.ī bahāroñ meñ
'firāq' aur 'mīr' 'nāsir' aur 'sirī-rām' ab kahāñ 'sāhir'
ki the ilm-o-adab ke behtarīñ ḳhidmat-guzāroñ meñ
Top Urdushayar.com