dil kī taskīn ko kaafī hai pareshāñ honā
hai tavakkul ba-ḳhudā be-sar-o-sāmāñ honā
yuuñ to har diin meñ hai sāhab-e-īmāñ honā
ham ko ik but ne sikhāyā hai musalmāñ honā
ai parī-rū tire dīvāne kā īmāñ kyā hai
ik nigāh-e-ġhalat-andāz pe qurbāñ honā
kor hai chashm jise da.avā-e-bīnā.ī hai
shart-e-avval hai jahāñ dīda-e-hairāñ honā
ham se rindadan-e-balā-nosh kā hai shurb-e-mudām
durd-āshām-e-mai-e-kulfat-e-hijrāñ honā
vaqf-e-taslīm-o-razā chāhiye dil āshiq kā
'sāhir' āsān nahīñ banda-e-jānāñ honā