mast-e-nigāh-e-nāz kā armāñ nikāliye
be-ḳhud banā ke bazm se ai jaañ nikāliye
husn-e-nazara-soz kī haiñ lan-tarāniyāñ
armān-e-dīd mūsī-e-imrāñ nikāliye
pinhāñ hai kufr ishq meñ īmān-e-āshiqāñ
zulmat se nūr-e-chashma-e-haivāñ nikāliye
dam bhar meñ dho.e jā.eñge sab dāġh-e-ma.asiyat
yak qatra ashk tajraba-sāmāñ nikāliye
tauhīd meñ hai naqsh-e-do-rañgī hijāb-e-zāt
zauq-e-nazar kā hausla ai jaañ nikāliye
jab jalva-hā-e-vādī-e-aiman nazar meñ hoñ
ḳhātir se vahm-e-rauza-e-rizvāñ nikāliye
dil ko banā ke nuqta-e-parkār-e-āfiyat
pā-e-talab ba-himmat-e-mardāñ nikāliye
zikr-e-ḳhafī azal se hai vird-e-dil-o-zabāñ
shak hai to tan se tār-e-rag-e-jāñ nikāliye
kaunain ain-e-ilm meñ hai jalva-gāh-e-husn
jeb-e-ḳhirad se ainak-e-irfāñ nikāliye
har jaam meñ hai aks-e-ruḳh-e-yār jalva-gar
ai dil sabīl-e-sohbat-e-rindāñ nikāliye
maqbūliyat suḳhan kī hai 'sāhir' jo rañg-e-bazm
rañg-e-ayār-e-tab-e-suḳhan-dāñ nikāliye