Sahir Dehlavi

jo la-mazhab ho usko millat-o-mashrab se kya matlab

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
jo lā-maz.hab ho us ko millat-o-mashrab se kyā matlab
mirā mashrab hai rindī riñd ko maz.hab se kyā matlab
kitāb-e-dars-e-majnūñ mus.haf-e-ruḳhsār-e-lailā hai
harīf-e-nukta-dān-e-ishq ko maktab se kyā matlab
hasīnān-e-do-ālam meñ hai jalva husn-e-yaktā kā
nazar meñ husn-e-yaktā jab huā un sab se kyā matlab
hamārā hosh har-dam āshnā-e-nahnu-aqrab hai
huzūrī jis ko hāsil ho use yārab se kyā matlab
tamannā.eñ bar aa.iiñ apnī tark-e-mudda.ā ho kar
huā dil be-tamannā ab rahā matlab se kyā matlab
hamāre arsa-e-shatrañj meñ hai shaah dīvāna
jise hāsil ho āzādī use ardab se kyā matlab
hamārā sajda hai har gaam par pīr-e-tarīqat ko
sulūk-e-ishq meñ sar hai qadam markab se kyā matlab
hameñ to yaar se matlab hai 'sāhir' aur yaarī se
hamārā yaar aur aġhyār ke matlab se kyā matlab
Top Urdushayar.com