Sahir Dehlavi

taqwe ke liye jannat-o-kausar hue maKHsus

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
taqve ke liye jannat-o-kausar hue maḳhsūs
rindī ke liye shīsha-o-sāġhar hue maḳhsūs
pābandi-e-ahkām-e-sharī.at hai vahāñ farz
rindoñ ko ruḳh-e-sāqī-o-sāġhar hue maḳhsūs
qaa.em hai vahāñ diin bhī duniyā bhī ba-ummīd
ham ko karam-e-rahmat-e-dāvar hue maḳhsūs
sheḳhī hai vahāñ jubba-o-dastār pe mauqūf
rindī ko yahāñ tark-e-tan-o-sar hue maḳhsūs
hai kashf-o-karāmāt vahāñ māya-e-pindār
saudā aur ziyāñ ham ko barābar hue maḳhsūs
haiñ ḳhirqa-o-ammāma vahāñ pīr-e-tarīqat
yaañ kufr-o-sanam hādī-o-rahbar hue maḳhsūs
mauqūf jo īmāñ pe rahe masjid-o-mimbar
'sāhir' ko sanam-ḳhāna-o-sāġhar hue maḳhsūs
Top Urdushayar.com