jasad ne jaan se pūchhā ki qalb-e-be-riyā kyā hai
ḳhitāb aayā ki ā.īne meñ jauhar ke sivā kyā hai
ayaañ ā.īne meñ hai sūrat-e-ma.anī-safā kyā hai
nihāñ taskīn meñ hai iztirāb-e-dil riyā kyā hai
miTānā aap ko nābūd ho jaanā fanā kyā hai
samānā aap meñ aur ḳhud ba-ḳhud honā baqā kyā hai
do-ālam jalva-gāh-e-husn meñ ain-e-basīrat meñ
ye aks-e-shaḳhs hai ā.īne meñ sūrat-numā kyā hai
vo yaktā zaat hai ain-e-surūr-e-ilm-o-haq ai dil
nihāñ kasrat meñ vahdat ho ga.ī hai mā-sivā kyā hai
qidam hai zāt-e-vāhid haal hai mazī-o-mustaqbil
azal se tā abad kī ibtidā kyā intihā kyā hai
miTā kar dil se pindār-e-ḳhudī insāf se dekho
ki be-zauq-e-tamannā hastī-e-bīm-o-rajā kyā hai
na the aape meñ muusī varna un kā hausla kyā thā
jo bol uThte ki aa parda se bāhar dekhtā kyā hai
tajallī ban ga.ī 'sāhir' naqāb-e-rū-e-jān-e-jāñ
ki dīdan hukm-e-nā-dīdan hai yārab mājrā kyā hai