is jism kī hai pāñch anāsir se banāvaT
aql-o-dil-o-pindār kī saarī hai bunāvaT
haiñ hāfiza idrāk tamīz aur taḳhayyul
afa.ali-o-ilmī ḳhamasāt us kī sajāvaT
ta.amīr jin ajzā se huī ḳhāna-e-tan kī
hai jaan se un sab kī numūdār dikhāvaT
aate hue is tan meñ na jaate hue tan se
hai jān-e-makīñ ko na lagāvaT na rukāvaT
insāf kī mīzāñ meñ use tol to 'sāhir'
sab sach hai nahīñ jhuuT kī kuchh us meñ milāvaT